Islamic Quotes is the section of Urdughr.com provides you the best collection of beautiful Islamic Quotes in Urdu. These quotes are from the famous Islamic scholars, hadith's, Quranic saying's and the saying's of different Ulmas . Islamic quotes will definitely help you to be motivated, inspired by this beautiful religion and help you to follow Islam easy and peacefully. So let these beautiful Islamic Quotes in Urdu make love of Allah in your heart be the light that guides you through your darkest moments. If you like our content and find our efforts helpful, so please do share it  different different Social Media platform  with your friends , relative and family members and support Urdughr.com

Islamic Quotes in Urdu






Islamic-Quotes-in-urdu


Quotes& Review in Urdu:-

Naseeb kesa bhi ho namaz aur quran se madad lekar
Allah se jo mangoo, zaroor milta hai.

نصیب کیسا بھی ہونماز اور قرآن سے مدد لے کر
الله سے جو مانگو، ضرور ملتا ہے-

Islamic-Quotes-in-urdu


Quotes& Review in Urdu:-

Jab saari duniya muh pher leti hai
To is waqt Allah aap ke sath hota hai.

جب ساری دنیا منہ پھیر لیتی ہے
تو اس وقت بھی الله آپکے ساتھ ہوتا ہے



Quotes& Review in Urdu:-

Namaz ki toh wo shaan hai jo rok deti hai tawa-e-kaba ko
Tere karobar ki kya auqat hai jis ke lye tu chordeta hai namaz ko.

نماز کی تو وہ شان ہے جو روک دیتی ہے طوافِ کعبہ کو
تو تیرے کاروبار کی کیا اوقات ہے جس کے لئے تو چھوڑ دیتا ہے نماز کو

Read Also : Aqwal e zareen in Urdu

Islamic-Quotes-in-urdu


Islamic Quotes in Urdu

Har tooti huwi umeed mujhe
Mere Allah se jorti hai.Islamic Quotes in Urdu

ہر ٹوٹی ہوئی امید مجھے
میرے الله سے جوڑتی ہے-





Quotes& Review in Urdu:-

Ikhlaq wo cheez hai jis ki qeemat kuch nahi deni parti
Haan magar is se har insaan khareeda jaskta hai.

اخلاق وہ چیز ہے جس کی قیمت کچھ نہیں دینی پڑتی
ہاں مگر اس سے ہر انسان خریدا جاسکتا ہے




Quotes& Review in Urdu:-

Insaan ko har haal main raazi ba razaiye ilahi rehna chahiye
Or sabar-o-shukar se kaam lena chahiye
Sabar karne se hi aala muqamat irfaan hasil hoti hain.

انسان کو ہر حال میں راضی بہ رضائے الہی رہنا چاہیے
اور صبرو شکر سے کام لینا چاہیے
صبر کرنے سے ہی اعلی مقامات عرفان حاصل ہوتے ہیں--



Quotes& Review in Urdu:-

Jin ka bharosa Allah ho,
Un ki manzil kamiyabi hai .

جن کا بھروسہ الله ہو،
ان کی منزل کامیابی ہے...



Islamic Quotes in Urdu

Kuch dolat peh naaz karte hain kuch sorat peh naaz karte hain
Jin ke hathoon main daman-e-mustufa (S.A.W) ho wo umaati hone peh naaz karte hain .

کچھ دولت پہ ناز کرتے ہیں کچھ صورت پہ ناز کرتے ہیں
جن کے ہاتوں میں دامن مصطفیٰﷺ ہو وہ اُمتی ہونے پہ ناز کرتے ہیں





Quotes& Review in Urdu:-

Neyat kitni bhi achi ho duniya tum ko tumhare dikhawey se janti hai
Or dikhawa kitna bhi acha ho Allah tum ko tumhari neyat se janta hai.

نیت کتنی بھی اچھی ہو ... دنیا تم کو تمہارے دکھاوے سے جانتی ہے
اور دکھاوا کتنا بھی اچھا ہو ... الله تم کو تمہاری نیت سے جانتا ہے-



Quotes& Review in Urdu:-

Jo kisi ka bura nahi chahtey, un ke sath koi bura nahi karsakta
Yeh mere rab ka wada hai.

جو کسی کا برا نہیں چاہتے،ان کے ساتھ کوئی برا نہیں کرسکتا
یہ میرے رب کا وعدہ ہے




Quotes& Review in Urdu:-

Hazrat Muhammad (S.A.W) ne irshad farmaya:
Jo momin lagatar bemar rahe
Is ko bakhsh dya jata hai.

رسول اللهﷺ نے ارشاد فرمایا:
جو مومن لگاتار بیمار رہے
اس کو بخش دیا جاتا ہے



Allah Quotes in Urdu

Islam itna khubsurat mazhab hai keh muskurane par bhi aap ko ajar milta hai
Or yahan tak ke ghuse ki halat main khamosh rehne par bhi.Allah Quotes in Urdu

اسلام اتنا خوبصورت مذہب ہے کہ مسکرانے پر بھی آپ کو اجر ملتا ہے
اور یہاں تک کے غصے کی حالت میں خاموش رہنے پر بھی



Quotes& Review in Urdu:-

Main apna har gham Allah ko btata hoon
Kyuenkeh mere ghamoo ka ilaj sirf mere Allah ke paas hai .

میں اپنا ہر غم الله کو بتاتا ہوں
کیونکہ میرے غموں کا علاج صرف میرے الله کے پاس ہے



Quotes& Review in Urdu:-

Jab Allah tumhain kinarey par laa khara karde to us par kamil yaqeen rakho
Kyuenkeh 2 cheezain hosakti hain ya to wo tumhain thaam le ga ya tumhain urna seekha de ga.

جب الله تمہیں کنارے پر لا کھڑا کردے تو اس پر کامل یقین رکھو
کیونکہ دو چیزیں ہوسکتی ہیں یا تو وہ تمہیں تھام لے گا یا تمہیں اُڑنا سیکھا دے گا-



Quotes& Review in Urdu:-

Jahan se hamari soch khatam hojati hai
Theek wahan se Allah ka faisla shroo hojata hai .

جہاں سے ہماری سوچ ختم ہوجاتی ہے
ٹھیک وہاں سے الله کا فیصلہ شروع ہوجاتا ہے



Quotes& Review in Urdu:-

Allah naraz ho to roti nahi cheenta
Balkeh sajde ki tofeeq cheen leta hai.Allah Quotes in Urdu

الله ناراض ہو تو روٹی نہیں چھینتا
بلکہ سجدے کی توفیق چین لیتا ہے



Quotes& Review in Urdu:-

Toba qabul honey ki nishani yeh hai keh
Is ke bad insaan ka dil gunah se hat jata hai.

توبہ قبول ہونے کی نشانی یہ ہے کہ
اس کے بعد انسان کا دل گناہ سے ہٹ جاتا ہے-



Quotes& Review in Urdu:-

Baap ke samne uncha na bolna
Warna Allah tum ko neecha karde ga.

باپ کے سامنے اونچا نہ بولنا
ورنہ الله تم کو نیچا کردے گا




Quotes& Review in Urdu:-

Allah ne insaan ko dil dya hai magar is ka sukoon sirf apne paas rakha hai
Or farmaya yaad rakho dil ka sukoon sirf Allah ki yaad main hai.

الله نے انسان کو دل دیا ہے مگر اِس کا سکون صرف اپنے پاس رکھا ہے-
اور فرمایا یاد رکھو دل کا سکون صرف الله کی یاد میں ہے-



Quotes& Review in Urdu:-

Allah se jab mangoo toh apni auqat ke mutabiq nahi
Balkeh Allah ki shaan ke mutabiq mangoo.Islamic Quotes in Urdu

الله سے جب مانگو تو اپنی اوقات کے مطابق نہیں
بلکہ الله کی شان کے مطابق مانگو-




Quotes& Review in Urdu:-

Quran parhtey huwey aesa lagta hai keh
Jese wo dilasa de raha ho keh main hoon na tumhare sath.

قرآن پڑھتے ہوئے ایسا لگتا ہے کہ
جیسے وہ دلاسہ دے رہا ہو کہ میں ہوں نہ تمہارے ساتھ




Quotes& Review in Urdu:-

Gunah par nidamat gunah ko mita deti hai
Neki par guroor neki ko taba kar deta hai .

گناہ پر ندامت گناہ کو مٹا دیتی ہے
نیکی پر غرور نیکی کو تباہ کردیتا ہے



Quotes& Review in Urdu:-

Jo zaat raat ko darkhtoon par bethe parindoon ko neend main girney nahi deti
Wo zaat insaan ko kese be yaaro madad gar chor sakti hai.

جو ذات رات کو درختوں پر بیٹھے پرندوں کو نیند میں گرنے نہیں دیتی
وہ ذات انسان کو کیسے بے یارومددگار چھوڑ سکتی ہے



Islamic Quotes in Urdu

Behtareen log behtareen niyat rakhtey hain
Jis ki waja se Allah Talah un ke tamam kaamoo ko sanwar deta hai
Or jis kaam ko rab sanwar de usy koi banda kese bigarh sakta hai.

بہترین لوگ بہترین نیت رکھتے ہیں
جس کی وجہ سے الله تعالی ان کے تمام کاموں کو سنوار دیتا ہے
اور جس کام کو رب سنوار دے اسے کوئی بندا کیسے بگاڑ سکتا ہے



Quotes& Review in Urdu:-

Moomin bandey ki nishani yeh hai keh jab is ki moat ka waqt qareeb ajata hai
Toh is ke chehray par muskurahat bhi ajati hai .

مومن بندے کی نشانی یہ ہے کہ جب اس کی موت کا وقت قریب آجاتا ہے
تو اس کے چہرہ پر مسکراہٹ بھی آجاتی ہے-



Quotes& Review in Urdu:-

Agar Allah ne wo le lya jise khooney ko tum tasawur nahi karsakte the
Toh yaqeenan wo kuch aesa bhi de ga jise paane ka tum ne socha bhi na hoga.

اگر الله نے وہ لے لیا جسے کھونے کا تم تصور نہیں کرسکتے تھے
تو یقیناً وہ کچھ ایسا بھی دے گا جسے پانے کا تم نے سوچا بھی نہ ہوگا



Quotes& Review in Urdu:-

Hazrat Muhammad (S.A.W) ne faramaya:
Jis ne kaha Allah ke siwa koi ibadat ke laiq nahi
Phr is par sabit qadam rahey wo janat main dakhil hoga.

حضرت محمدﷺ نے فرمایا:
جس نے کہا الله کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں
پھر اس پر ثابت قدم رہے وہ جنت میں داخل ہوگا



Quotes& Review in Urdu:-

Apni zaban ki tezi is maan par na azmaien
Jis ne aap ko hurf hurf bolna sikhaya hai
Hazrat Muhammad (S.A.W) ka irshad hai:
Allah ne tum par maaon ki nafarmani Or badsuluki ko haram kardya hai

اپنی زبان کی تیزی اس ماں پر نہ آزمائیں
جس نے آپ کو حرف حرف بولنا سکھایا ہے
رسول اللهﷺ کا ارشاد ہے:
"الله نے تم پر ماؤں کی نافرمانی اور بدسلوکی کو حرام کردیا ہے-"



Quotes& Review in Urdu:-

Sirf ehsaas-e-nidamat ek sajdah or chasham-e-tar
Aaye khuda kitna asaan hai manana tujh ko.

صرف احساسِ ندامت اک سجدہ اور چشمِ تر
اے خدا کتنا آساں ہے منانا تجھ کو



Quotes& Review in Urdu:-

Hazrat Muhammad (S.A.W) ne irshad farmaya:
Apney gharoon ko maqbarey na banao,
shetaan is ghar se bhagta hai jis main surat-ul-baqrah parhi jati hai.

رسول اللهﷺ نے ارشاد فرمایا!
"اپنے گھروں کو مقبرے نہ بناؤ،
شیطان اس گھر سے بھاگتا ہے جس گھر میں سورۃ البقرہ پڑھی جاتی ہے"-



Quotes& Review in Urdu:-

Khuda se ye mat kaho ke toofan kitna bara hai
Balke toofan se kaho mera khuda buht bara hai.

خدا سے یہ مت کہو کے طوفان کتنا بڑا ہے
بلکہ طوفان سے کہو میرا خدا بہت بڑا ہے



Islamic Quotes in Urdu

Us Din pr ansoo bahaoon jo
Tum nay bgher naiki ke guzardya .Islamic Quotes in Urdu

اس دن پر آنسو بہاؤ جو تم نے
ابغیر نیکی کے گزار دیا !



Quotes& Review in Urdu:-

Khuda ki raah main koshish karo or kbhi peeche na hato
Kyuenkeh khuda ne tum se koshish mangi hai nateejah nahi.

خدا کی راہ میں کوشش کرو اور کبھی پیچھے نہ ہٹو
کیونکہ خدا نے تم سے کوشش مانگی ہے نتیجہ نہیں ..!!




Quotes& Review in Urdu:-

Hazrat Ali (R.A) ne faramaya:
Jo sajdoon main rota hai
Usy taqdeer par rona nahi parta.

حضرت علی نے فرمایا
جو سجدوں میں روتا ہے
اسے تقدیر پر رونا نہیں پڑتا-



Quotes& Review in Urdu:-

Dua toh dil se mangi jati hai, zaban se nahi
Aaye Iqbal qabool toh is ki bhi hoti hai, jis ki zaban nahi hoti.

دعا تو دل سے مانگی جاتی ہے، زبان سے نہیں
اے اقبال قبول تو اس کی بھی ہوتی ہے، جس کی زبان نہیں ہوتی



Quotes& Review in Urdu:-

Doosron ko naseehat ke phool dete waqt
Khud in ki khushbo lena mat bhoolein.
Allah Quotes in Urdu

دوسروں کو نصیحت کے پھول دیتے وقت
خود ان کی خوشبو لینا مت بھولیں-




Quotes& Review in Urdu:-

Tobah rooh ka ghusal hai jitni baar bhi ki jaye
Rooh main nikhaar peda hota hai.

توبہ روح کا غسل ہے جتنی بار بھی کی جائے
روح میں نکھار پیدا ہوتا ہے



Quotes& Review in Urdu:-

Aaj ka insaan dolat ko khush naseebi samjhta hai
Or yehi is ki badnaseebi ka sabot hai.

آج کا انسان دولت کو خوش نصیبی سمجھتا ہے
اور یہی اس کی بد نصیبی کا ثبوت ہے




Quotes& Review in Urdu:-

Tobah ka khayal khush bakhti ki alamat hai
Kyuenkeh jo apney gunah ko gunah na samjhe wo bad qismat hai.

توبہ کا خیال خوش بکتی کی علامت ہے
کیونکہ جو اپنے گناہ کو گناہ نہ سمجھے وہ بد قسمت ہے



Quotes& Review in Urdu:-

Toobah ki umeed par hu chuky bohat gunah ya rab
Muhlat tw mil rhi hai taufeeq bhi ata kr .
توبہ کی امید پر ہو چکے بہت گناہ یا رب
مہلت تو مل رہی ہے توفیق بھی عطا کر



Quotes& Review in Urdu:-

Na umeed shakhs har acha moqa bhi ganwa deta hai
Aur pur umeed shakhs har pareeshani main bhi moqa talash karleta hai.ALLAH Quotes, Islamic Quotes and Urdu Quotes.

نا امید شخص ہر اچھا موقع بھی گنوا دیتا ہے
اور پر امید شخص ہر پریشانی میں بھی موقع تلاش کرلیتا ہے-




Quotes& Review in Urdu:-

Jo takleef tum khud bardasht nahi karskte
Wo kisi dusrey ko bhi na do.

جو تکلیف تم خود برداشت نہیں کرسکتے
وہ کسی دوسرے کو بھی نہ دو -



Quotes& Review in Urdu:-

Mumkin na mumkin toh hamari soch hai
Allah ki zaat ke liye sab mumkin hai.

ممکن نہ ممکن تو ہماری سوچ ہے
الله کی ذات کے لئے سب ممکن ہے ..



Quotes& Review in Urdu:-

Aur tumhare chahney se kuch nahi hota jab tak Allah na chahey
AlQuran .

اور تمہارے چاہنے سے کچھ نہیں ہوتا
جب تک الله نہ چاہے( القرآن )



Quotes& Review in Urdu:-

Aur mere Allah ne mera is waqt sath dya
Jab charoon taraf mujhay apni haar nazar arahi thi.

اور میرے الله نے میرا اس وقت ساتھ دیا
جب چاروں طرف مجھے اپنی ہار نظر آرہی تھی



Quotes& Review in Urdu:-

Mat samajhna ke dushman galib agaya hai
Balke muhafiz hum se rooth gaya hai.
(Imam masjid-e-Nabwi S.A.W).

مت سمجھنا کہ دشمن غالب آگیا ہے
بلکہ محافظ ہم سے روٹھ گیا ہے
(امام مسجد نبویﷺ)



Islamic Quotes in Urdu

Tareekh main likha jaiye ga karona virus ki waba main koi peer ksi mureed ko
Shifa na de saka mushkil kusha aur hajat rawa sirf aik Allah ki zaat hai .Islamic Quotes in Urdu

تاریخ میں لکھا جائے گا کروناوئرس کی وبا میں کوئی پیر کسی مرید کو
شفاء نہ دے سکا مشکل کشا اور حاجت روا صرف ایک الله کی ذات ہے



Quotes& Review in Urdu:-

Jo pathar main keeron ko paal sakta hai whi koi rasta nikaal sakta hai
Wo jo kun fayakoon ka malik hai aik whi ye museebat taal sakta hai.

جو پتھر میں کیڑوں کو پال سکتا ہے وہی کوئی رستہ نکال سکتا ہے
وہ جو کن فیکون کا مالک ہے ایک وہی یہ مصیبت ٹال سکتا ہے


Quran Paak ki Pehli Surah hi Hume
Alhamdulillah Ka Sabaq Deti Hai


Ye Dunya Tmhe kia Degi ?
Jisne Hussain Ko Pani Tak Ni Dya


Allah Nay Farmaya
Jo Muhammad (S.A.W.S)Ka Nahi , Wo Mera Nahi !

Shoq-e- Kalaam Le gya Musa ko Toor Par
Main Kitna Bad Naseeb hu Masjid Na Jaskaa

Final Words:-

We hope you like these beautiful Islamic quotes in Urdu of all time and the effort that we are putting in on daily basis to make our content best from better. So, keep checking our collection day after day because we our making the collection of Islamic quotes more vast and more inspiring and, Remember “you are more than your mistakes, and Allah's mercy is greater than your sins.” Support us by sharing and comment below must to give us your feedback .


Post a Comment

Previous Post Next Post